Facebook Best Like Box Apne Site Me Kaise Add Kare
Facebook Like Box Apne Site Me Kaise Add Kare
Hello dosto aaj mai aapko ye batane wala hu ki apne blog site me facebook fan page kaise add karte hai taki koi visiter hamare site par aaye aur agar hamara site usko pasand aaye to wo hamare site ko like kar sake isse ye fyada bhi hota hai ki jub koi visiter hamare site ke facebook page ko like karta hai to hamare updates ki jankari use facebook par chal jata hai is tarah se hamara site ek taraf se promate bhi hota hai aap logo ne ye to dekha hi hoga ki aaj harek site me site ke admin ne facebook fan ko lagaya hua hota hai agar aap bhi apne site me facebook fan page ko lagana chahte hai to aap mujhe step by step follow kare
Facebook Page Ka Username Kaise Pata Kare
facebook page ka user name nikalne ke liye aap hame follow kare sabse pehle aap apne facebook page ko open kare uske bad aap browser me kuch is praker dikhega
ab aap mane ki aapka username 12345 hai to likh kuch is praker ka hoga
http://facebook.com%2f12345 kuch is praker hoga
nahi to aise bhi aapka username dikh sakta hai
http://facebook.com/newefuture
http://facebook.com/12345
kuch is praker ka bhi dikh sakta hai
Facebook Fan Like Box Kaise Add Kare Step By Step
Step 1: facebook like box apne blog me lagane ke liye sabse pehle aap Yaha Click Kare
uske bad aapko kuch setting karne ki jarurat padti hai
Step 2:
1: Facebook Url- yaha par aapko apne facebook page ka url dale
2: Use Small Header- agar aap ye chahte hai ki aapka facebook like box chota dikhe to ise select karle
3: Hide Cover Photo- ise select karne par aapke facebook page me aapka facebook page ka cover photo show nahi hoga
4: Show Page Post- agar aapko apne facebook likebox me posts ko show karana chahte hai to ise select karle
5: Get Code- ab aapne puri setting kar li hi hongi ab aap Get Code par click kare uske bad jo code aayega use aap copy karle
Step 3-Code 1 Code 2 me Kya Anter Hai?
code 1 jo code hai use hum apne blogger ke template me edit html me body ke niche click karke save kar dete hai to hamara facebook page add ho jayega
code 2 jo code hai ise hum apne blogger ke layout me jaker kahi bhi laga dete hai
Step 4- Code Ko Blogger Me Kaise Add Kare?
A: sabse pehle aap apne Blogger me login ho jaye uske bad aap dashboard me jaye uske bad aapko template par click karna hai
template par click karne ke bad aaap edit html par click kare uske bad aap control-f dabaker search mare uske bad jab body dikh jaye to uske upper 1 number code paste karde uske bad save template par click karde
Note> template edit karne se pehle apne template ka backup jarur banale
B: agar aapko koi dikkat aarahi hai to mai aapke dusra tarika bata raha hu try kare
blogger.com me login hoker layout par click kare use bad aap add a gadget par
click kare
uske bad aapko html java script par click karna hai uske bad upper tital me aapko kuch bhi likh sakte hai aur niche code ko paste karne ke bad aapko niche save kardena hai aapka facebook fan page blogger me add ho chukka hai
Ye Bhi Post Bhi Padhe>
blogger se related jankari ke liye yaha click kare
computer se related jankari ke liye yaha click kare
mobile se related jankari ke liye yaha click kare
hello dosto agar ye mera post aapko pasand aaya to aap hamare post ko share kar sakte hai aur agar aapko koi dikkat aarahi hai to aap hame comment me puch sakte hai aap hamare site ko SUBSCRIBE kar sakte hai LIKE KARE like kar sakte hai